किसी से मोहब्बत हो और उसमे intezar न हो तो कहते है की वो मोहब्बत मुकम्मल ही नहीं जिसमे इंतज़ार ना हो। intezar दोनों तरफ से हो सकता है कभी intezar लम्बा होता है। तो कभी ज़िन्दगी भर का। कोई इस intezar की घडी को आसानी से जी लेता है तो कोई इसका एक एक पल भी कीमती समझ कर अपनी यादों में कैद कर लेता है।
बस इसी बात का ख्याल करते हुए मैं लेकर आया हु आपकी अपनी वेबसाइट पर Intezaar shayari in hindi for girlfriend जो की आपके दिल की बात कहने में आपकी बड़ी मदद करेगी।
Intezar shayari in hindi, intezar shayari 2 lines, इंतज़ार शायरी, Best Status On Waiting, Pyar me intezar shayari, intezar shayari in hindi for girlfriend, लम्हे इंतज़ार के शायरी, waiting quotes in hindi, hame intezar uska hai shayari,
Intezaar shayari 2 lines
Maine apne jazbaat aur chhahato ka rukh mod liya hai,
Maine mohabbat aur tujhe naseeb ke hathon chhod diya hai.
Kon kehta hai ki waqt bahut tez hai,
kabhi kisi ka intezar to kar ke dekho.
uski aankho se kya door hue,
log puchne lage kaha the itne din.
Bina wada bhi tera intezar hai,
juda hokar bhi tujhse pyar hai.
Hakim ko pata hai ki bimar hun main,
par uski nahi teri talabgar hun main.
ye baat nahi tu mere ya me tere layak nahi,
bas tu ek nasha hai jo mere mazhb me jayz nahi.
Thukraya hamne bhi bahuto ko hai tere khatir,
tujhse fasla bhi shayad unki baddua ka asar hai.
Tujh ko jaldi bhulane ke khatir,
aaj dusri mohabbat kar li hamne.
Vo lehro ki tara aate hai aur chale jate hai,
aur ham sahil ki tara nadi kinare unka intezar karte hai.
ye jo ruth kar baar baar chale jate ho,
me bhi jake batau kesa lagta hai.
fakat dil lagane ki itni badi saja mili hame ki,
hamne roo roo ke samandar bhar diye.
intezar to mujhe us mosam ka hai,
jaha pani nahi tera ishq barse.
Mohabbat to ho jati hai lekin
use pane ke liye kismat bahut tadpati hai.
intezar e ishq me becheni ka alam mat pucho,
har aahat par lagta hai,
woh aaye hai, wo aaye hai.
Kin lafzo me likhu me tumhare intezar ko,
bejuba sa ishq khamoshi se dhundta hai tumhe.
Intezar agar lamba ho to chalta hai,
intezar agar ek tarfa ho to sirf takleef deta hai.
Muddato baad lote hai ek tere sheher me,
ek tujhe chhod aur to kuch badla nahi.
Din me ek baar us insan se jarur baat kar lo,
jo tumse baat karne ke liye pura din intezar karta hai.
Sab kehte hai ki wo bhul gai hai tumhe,
aur ummid kehti hai ki thoda aur intezar kar lo.
Kisi ka thehrta nahi, aur hamara bachta nahi
yeh waqt sabko nachata hai.
Aaj bhi sar e bazar wohi tamasha tha,
me thi, meri aankhe thi, aur intezar tumhara tha.
Jane wale ko kya pata
wo to aakar chala jata hai,
kabhi intezar karne wale se pucho,
intezar karna kitna mushkil hota hai.
Teri yaad me guzarti yaden,
teri yadon me guzarti hai sham,
jab hoti hai tumse bate,
dil ko milta hai aaram.
Intezar to uska hamesha rahega,
bas ab use aawaz nahi denge.
ae mot kasam hai tujhe mujhe hasate hue marna,
kyoki mene zindagi guzar di rote rote.
Har sham tera intezar kiya karte hai,
har khwab me tera didar kiya karte hai,
deevane hi ho to he ham tere,
jo har waqt tere sath jine ka intezar kiya karte hai.
Intezar to ek baar aanek ka hai,
ke intezar to tere ek baar aane ka hai,
baki tujhe rokne ke hazar bahane to mene pehle se
teyyar kar rakhe hai.
jo bate me tumhe haqiqat me nahi bol paa rahi,
wo roz apne sapno me bayan kar rahi hun.
Pyar saccha hai tabhi to intezar hai,
warna aaj ke zamane me koi kisi ka nahi hota.
Kai raate kati hai bina soye tumhare khyaal me,
Kai raate kati hai bina soye tumhare khyaal me,
kambakht aankho ne dhoka de diya,
hamari milne wali raat me.
ye sham ab ghar jane ko kehti hai,
gam ki barsat khamosh ho jane ko kehti hai,
bhatakta mukaddar beth gaya hai kahi thak kar mera,
ye zindagi ab mujhe so jane ko kehti hai.
Tumhara to ghar bhi masjid se bahut door hai,
tum to mere marne ka elan bhi nahi sun paogi.
Mohabbat hai tumse, bas izhar nahi hota,
aankho me dekhkar baat to hoti hai,
bas ikrar nahi hota.
vo taro ki tara raat bhar chamakte rahe,
ham chand sa tanha safar karte rahe,
vo to bita waqt the unhe aana naa tha,
ham yun hi sari raat karwat badalte rahe.
Janti hun me raah chalte bhi nahi milega wo mujhse,
fir bhi mera mann aaj bhi usi ke intezar me hai.
Ek din jab tu mere ek call ke liye intezar karegi,
tab pata chalega intezar ki ghadi kitni lambi hoti hai.
Beshaq dil me tu hi he,
bas tera intezar nahi,
sun ab lot kar vapas aana nahi,
kyoki ab is dil ko tu swikar nahi.
Vo shakhs ab wo nahi, jo hua karta tha,
ab bas dhua hai, jo dua hua karta tha.
mere askho ne ret ko samandar kar diya,
or wo keh ke chal diya pani khara bahut hai.
Ab unhe akele rehne ka dosh na do tum,
aakhir unhe chand suraj bhi tumne hi kaha tha.
Wo waqt ki shikayat lekar bethta hai hamesha,
ab use kon samjhaye ki baat karne ke liye niyat
zaruri hai waqt nhi.
Vo sham aakhri hogi,
vo raat akhri hogi,
mile jo agar ham kabhi,
to shayad wo mulakat bhi aakhri hogi.
Tum bin hamari zindagi adhuri hai,
par kya kare, tumse dur rehna bhi to hamari majburi hai.
Umr bhar ke intezar ka lamha intezar me de gya,
wo jiske bina ek pal bhi nahi guzarta tha mera.
यह भी पड़े :